Waqt!!
Waqt tham ja
aur
le chal mujhe uss rah
muskurahat, hasi, zindagi ke haseen lamhe jee rahe the
aur the hum ek, har lamha!!
Dur le gaye unhe humse
jinke bina humari nahi koi shakhsiyat
kahin se le aayein, kuch ho jaaye
ka silsila dohra rahi hai duniya
duayen bhi rang le aati hai
lekin chal padti hai uss jagah
jahan..
jagmagate log hain, rupyon paiso ki mauj hai,
aur heere motiyon ki hi kewal khoj hai!!!
Samay ne sikhaya hai
kar buland har uss vishwaas ko, uss naseeyat ko
jisse sunn nikal gaye saal pe saal humaare
Keemat na samjhi unki baaton ki
they jab har pal woh samjhaane ko
uda di hasi mein har baat wo
jiska mehtva basa zehan mein unke chale jaane pe
Kehte the woh kuch iss tarah..
yahi jeevan hai.. saadgi, imaandaari, namrata
zindagi ke anmol ratan hai
jahan daudoge jhoothe dikhaawe ki or
rukh badal legi zindagi barbaadi ki or
Vinamra bol, saaf hridya, mann se sahayata,
buraayi se dur, badon ka aadar, chhoton se pyar,
sikhaya unhone humein
jab tak bas chala unka humaari or!!
Mann se shaanti, honthon se hasi
chale gaye na jaane kahan
rokte rokte thak gaye hain hum
par aansu thame na tham rahe hain yahan!!
Le aayenge unhe jald, mann ka vishwaas hai
jo sthir hai tab se
jab se, yeh nain dhoondh rahe unhe aas paas hain!!!
Waqt tham ja aur

Comments
Post a Comment